Wednesday 2 May 2018

Zindagi

Na Jaane Kaha Leke Jana Chahti Hai Ye Zindagi,

Kabhi Hasati To Kabhi Rulati Hain Ye Zindagi.

Har Naye Panne K Sath Ek Naya Mod Laati Hain Zindagi.

Kabhi Badalti Hain Bhavishya To Kabhi Itihaas Batati Hain Ye Zindagi.

                                                  - 16 September 2018

Tuesday 1 May 2018

Koi Haq Nahi

Jo akela karke chala jaaye use lautne ka koi haq nahi,
Jo haath chodke chala jaye use dobara pakadne ka koi haq nahi.

Jab saath khush the to Chodke dukh diya,
Jab alag hoke  khush huye to lautkar dukh diya.

Kaash koi bata pata use, kitna dard hota hain,
Khud ko apna kehalvake dusre ko paraya rakhne me.

Kaash koi keh pata use nahi paana chahti use ab,
Kyuki uske bina hi khush rehna sikh liya hai ab.